shuaen aise mere jism se guzarti gain lahu mein jaise mere kirchiyan utarti gain na jaane chehre hun aainda nasl ke kaise bas ek khauf se meri ragen sikudti gain mujhe to lagte hain nakhun bhi apne zahar bujhe mere liye to meri ungliyan bhi marti gain jazire kitne garan paniyon ki god mein hain panah ke liye sochen meri bikharti gain ye gardishon ka tawazun bigad na jae kahin isi tarah jo zamin ki tahen udhadti gain khala hayat ke imkan se to nahin aari pa justujuen kuchh apni hi mand padti gain