hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen aur ek bar gali ka teri phera kar aaen nind ke waste waise bhi zaruri hai thakan pyas bhadkaen kisi sae ka pichha kar aaen lutf deti hai masihai par itna bhi nahin josh mein apne hi bimar ko achchha kar aaen log mahfil mein bulate hue katraate the ab nahin dhadka ye khud se ki kahan kya kar aaen kash mil jae kahin phir wahi aaina-sifat naqsh be-rabt bahut hain inhen chehra kar aaen kitni aasani se hum us ko bhula sakte hain bas kisi tarah use dusron jaisa kar aaen ye bhi mumkin hai ki hum haar se bachne ke liye apne dushman ke kisi war mein hissa kar aaen baat mazi ko alag rakh ke bhi ho sakti hai ab jo haalat hain un par kabhi charcha kar aaen ye bata kar ki ye raunaq to zara der ki hai sahib-e-bazm ke haijaan ko thanda kar aaen kya wajud us ka agar koi tawajjoh hi na de hum ki jab chahen use bhid ka hissa kar aaen