saron par taj rakkhe the qadam par takht rakkha tha wo kaisa waqt tha mutthi mein sara waqt rakkha tha wo tanha khaksari thi nibhaya umr bhar us ne mizaj-e-shah-e-alamgir warna sakht rakkha tha bahut saman tha ghar mein bahut si neamaten bhi thin musafir ne magar apna safar be-rakht rakkha tha gire the dhire dhire sare kangure zamane ke haweli mein to ab ke la-makan yak-lakht rakkha tha main sab ko chhod kar duniya tere raste pe aa jata magar is raste mein bhi dil-e-kam-bakht rakkha tha