hua hai samne aankhon ke khandan aabaad makan mein hi hue hain kai makan aabaad tumhaari yaad mein aabaad jism-o-jaan mere tumhaare zikr se hai meri dastan aabaad ujad gai hai har ek samt mausam-e-gul mein na baghban hai salamat na gulistan aabaad koi payam na koi ata pata un ka koi batae kahan par hain raftagan aabaad ajib juzw hai ye mere jism ka ki yahan kahin yaqin hai qaem kahin guman aabaad yahi dua hai meri aur yahi tamanna hai sada rahe meri wadi yahan wahan aabaad koi bhi faisla hoga nahin rahe jab tak tumhaari tegh salamat meri sinan aabaad