khulta nahin ki hum mein khizan-dida kaun hai aasudgi ke bab mein ranjida kaun hai aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai dekhun jo aaina to ghunuda dikhai dun main khwab mein nahin to ye khwabida kaun hai amboh-e-ahl-e-zakhm to kab ka guzar chuka ab rahguzar pe khak mein ghaltida kaun hai ai karb-na-rasai kabhi ye to ghaur kar mere siwa yahan tera girwida kaun hai har shakhs dusre ki malamat ka hai shikar aakhir yahan kisi ka pasandida kaun hai to azm-e-tark-e-ishq pe qaem to hai magar tujh mein ye chand roz se larzida kaun hai