tera khayal jaan ke barabar laga mujhe tu meri zindagi hai ye akasr laga mujhe dariya tere jamal ke hain kitne is mein gum socha to apna dil bhi samundar laga mujhe luta jo us ne mujh ko to aabaad bhi kiya ek shakhs rahzani mein bhi rahbar laga mujhe kya baat thi ki qissa-e-farhad-e-kohkan apni hi dastan-e-sarasar laga mujhe aamad ne teri kar diya aabaad is tarah khud apna pahli bar mera ghar laga mujhe aaya hai kaun meri ayaadat ke waste kyun apna haal pahle se behtar laga mujhe kya yaad aa gaya mujhe kyun yaad aa gaya ghuncha khila jo shakh pe patthar laga mujhe