hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga hath jo hoga to meri maut ka saman hoga saqiya hijr mein mai-khana bayaban hoga daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga ai junun phir mujhe khush aane lagi uryani ab na daman hi rahega na gareban hoga phir chalenge tera qad dekh ke gulzaron mein phir har ek sarw-o-saman sarw-e-charaghan hoga ghar mein dil phir mera ghabrane laga aap se aap ai junun phir ye makan khana-e-zindan hoga phir khush aati hai mere dil ko shab-e-mah ki sair ishq phir chand se mukhde ka do-chandan hoga in dinon phir tujhe 'goya' jo hai chupki si lagi phir irada taraf-e-mulk-e-khamoshan hoga