mera khulus abhi sakht imtihan mein hai ki mere dost ka dushman meri aman mein hai wo khush-nasib parinda hai jo udan mein hai ki tir nikla nahin hai abhi kaman mein hai tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se mithas us ki abhi tak meri zaban mein hai tum aake laut gae phir bhi ho yahin maujud tumhaare jism ki khushbu mere makan mein hai kahan milega hasinon ko daur-e-hazir mein wo shahzada jo pariyon ki dastan mein hai hai jism sakht magar dil bahut hi nazuk hai ki jaise aaina mahfuz ek chattan mein hai tujhe jo zakhm de tu us ko phul de 'dana' yahi usul-e-wafa tere khandan mein hai