hathon ki be-rang lakiren padh lena khun mein dubi kuchh tahriren padh lena kali jildon wale raushan maktab se haq ke harf ki kuchh tanwiren padh lena marne wala aankh khuli kyon rakhta hai an-mit khwabon ki tabiren padh lena nilami mein bech rahe ho rishton ko ghar ki zinat thin taswiren padh lena sud-o-ziyan par shahr-e-sitam ke kya hairat ghasib ki jhuti taziren padh lena sehr-e-sukut se 'sima' jab bahar niklo sarkash lafzon ki tahriren padh lena