taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun main to bas apne hi hone ki gawahi mangun mujh ko suqraat ka mansab nahin hasil karna kya main sach bol ke apni hi tabahi mangun haar jaunga to mitti ke qadam chumunga girti diwar se kya pusht-panahi mangun zeb deta hai mere tan pe faqiri ka libas kisi darbar se kya khilat-e-jahi mangun meri wahshat ko ye sahra ki masafat kam hai sair ke waste kuchh aur faza hi mangun tirgi mein abhi itna to nahin duba hun ki nae din ke khazane se bhi syahi mangun