jab rabta qalam ka rawani mein aaega

jab rabta qalam ka rawani mein aaega
kirdar khud ubhar ke kahani mein aaega

barsat chhat ke raste ghar mein utar gai
suraj bhi ab to dub ke pani mein aaega

bachpan to la-shuur hai hans kar guzar de
lutf-e-gham-e-hayat jawani mein aaega

pahlu badal rahe hain abhi se wo is liye
un ka bhi zikr meri kahani mein aaega

tum dekh to rahe ho mujhe iltifat se
lagta hai koi zakhm nishani mein aaega

aane se gar gurez hai taswir bhej de
chehra to us ka yaad-dahani mein aaega

darwaze band kijiye aankhon ke ab 'asar'
ab kaun bhigta hua pani mein aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close