is chashm-e-nam se manzar-e-hairan chala gaya khwabon ka ek jahan-e-gulistan chala gaya shahron mein aa ke bas gae haiwan jis ghadi ghaaron mein phir se aaj insan chala gaya kuchh waswason mein aise kati umr-e-be-aman is zindagi se rishta-e-iqan chala gaya sharton pe aaj-kal to nibhate hain aashiqi tab hi to chahaton se ye paiman chala gaya zahid ki kuchh hikayaten sun kar laga mujhe bas din rah gaya yahan iman chala gaya ye dhadkanen tumhaari to 'sima' fareb hain dil se agar jo jazba-e-ehsan chala gaya