ishq mein wasl ki tadbir batane wala kaun tha zahr ko iksir batane wala hoga na-waqif-e-adab-e-mohabbat koi halqa-e-zulf ko zanjir batane wala aaina dekh ke samjha hun ki sach kahta tha wo mujhe aap ki taswir batane wala mushaf-e-rukh ki bhi tafsir batata jae lafz-e-quran ki tafsir batane wala main hi yusuf tha zulekha ke qafas mein kal shab hai koi khwab ki tabir batane wala wo jo kahta tha mere hath ki rekha mein hai tu kitna jhuta tha wo taqdir batane wala lai hai maut ko ab samne taqdir meri ab batae koi tadbir batane wala wo bhi hoga koi majruh yaqinan yaro abru-e-naz ko shamshir batane wala 'ehtisham' itne bade shahr mein koi na mila is nazar mein teri tauqir batane wala