zahr de de na koi ghol ke paimane mein ab to ji darta hai khud apne hi maikhane mein sara mazi meri aankhon mein simat aaya hai main ne kuchh shahr basa rakkha hain virane mein be-sabab kaise badal sakta hai rindon ka mizaj kuchh ghalat log chale aae hain maikhane mein jam-e-jam se nigah-e-tauba-shikan tak saqi puri rudad hai tute hue paimane mein pyas kanton ko bujhata hai lahu se apne kitni baaligh-nazari hai meri diwane mein mujh pe tanqid bhi hoti hai to alqab ke sath kam se kam itna saliqa to hai begane mein is ko kya kahte hain 'iqbaal' kisi se puchho dil na ab shahr mein lagta hai na virane mein