ye arz-o-sama qulzum-o-sahra mutharrik ek tu hi nahin shams hai duniya mutharrik ta-hadd-e-nazar ek wahi chehra mutharrik ya husn-e-mujassam ka hai jalwa mutharrik insanon mein ab bu-e-wafa hi nahin milti har shakhs nazar aata hai tanha mutharrik ye soch raha hun use kis chiz ka gham hai rahti hai mere dil mein tamanna mutharrik yun dhup se ghabra ke main sae mein na baitha sakin hai agar ped to saya mutharrik khushbu-e-gul-e-tar pe hi mauquf nahin hai har shakh-e-gul-e-tar ka hai patta mutharrik raushan kiye ek ne to bujhae diye ek ne harakat mein hai zulmat to ujala mutharrik jis ki bhi jo manzil hai wahin tak ye gaya hai rahi ki badaulat hua rasta mutharrik wo chand ho suraj ho gul-e-tar ho ki shabnam hum ne to har ek chiz ko dekha mutharrik dariya ki hadon mein jo utar jaoge ai shams' aaenge nazar sahil-o-dariya mutharrik