hausla shart-e-wafa kya karna band mutthi mein hawa kya karna jab koi sunta na ho bolna kya qabr mein shor bapa kya karna qahr hai lutf ki surat aabaad apni aankhon ko bhi wa kya karna dard thahrega wafa ki manzil aks shishe se juda kya karna dil ke zindan mein hai aaram bahut wusat-e-dasht-numa kya karna sham-e-kushta ki tarah ji lije dam ghute bhi to gila kya karna mere pichhe mera saya hoga pichhe mud kar bhi bhala kya karna kuchh karo yun ki zamana dekhe shor galiyon mein sada kya karna