na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana

na ai dil surat-e-shaikh-e-haram diwana ban jaana
kahin aana na jaana zaer-e-but-khana ban jaana

tumhaari dida-e-makhmur ko ye khub aata hai
kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana ban jaana

ajab aalam hai mad-hosh ka teri josh-e-masti mein
kabhi diwana ban jaana kabhi mastana ban jaana

dil-e-sozan dikhana jalwa husn-o-ishq donon ka
kahin sham-e-shabistan aur kahin parwana ban jaana

ye thi talqin-e-saqi waqt-e-rukhsat apni maston ko
kahin diwana ban jaana kahin farzana ban jaana

usi mein kuchh mafar apna nazar aaya hasinon ko
ki ja kar der mein chupke but-e-but-khana ban jaana

karishme hain ye sare jalwa-e-husn-e-haqiqi ke
kahin aashiq kahin andaz-e-mashuqana ban jaana

nawa-e-raaz saz-e-ishq be-khud kyun na kar dale
ki har parde se aati hai sada diwana ban jaana

yahi ibrat-sara-e-dahr ka har roz naqsha hai
kahin kashana ho jaana kahin virana ban jaana

khabar kis ko thi yun aalam mein ruswai meri hogi
ki unwan-e-mohabbat ko bhi tha afsana na ban jaana

ye aalam bekhudi-e-ishq ka ai 'shauq' kya kahiye
tasawwur mein kisi ke aap se begana ban jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close