rasta KHwab ke andar se nikalta hua tha

rasta khwab ke andar se nikalta hua tha
koi kya khwab ke andar se nikalta hua tha

wo mahak thi ki mujhe nind si aane lagi thi
phul sa khwab ke andar se nikalta hua tha

ye kisi khwab ka ahwal nahin hai ki main khwab
dekhta khwab ke andar se nikalta hua tha

khwab the jaise parindon ne pare bandhe hon
silsila khwab ke andar se nikalta hua tha

mujh ko duniya ke samajhne mein zara der lagi
main zara khwab ke andar se nikalta hua tha

nazar uthti thi jidhar bhi meri manzar manzar
zawiya khwab ke andar se nikalta hua tha

wo nikalta hua tha khwab-kade se apne
khwab tha khwab ke andar se nikalta hua tha

ek sira ja ke pahunchta tha teri yaadon tak
dusra khwab ke andar se nikalta hua tha

kya bataun koi iman kahan laega
ki khuda khwab ke andar se nikalta hua tha

subh jab aankh khuli logon ki logon pe khula
jo bhi tha khwab ke andar se nikalta hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close