tere falak pe kahin mera mahtab nahin wo raushni ka wasila tere janab nahin ganwa chuka hai tu saqi-e-hauz-e-kausar ko ki tere zarf mein ab tak sharab-e-nab nahin teri zaban pe allah-hu ka nara hai tere shiar mein allah ki kitab nahin tu ro raha hai bina maqsad-e-husaini ke teri aza mein kahin zainabi-nisab nahin teri nigah-e-talabgar did-e-mehdi hai tere irade mein garmi-e-inqalab nahin teri zamin pe taghut ki hukumat hai tere mizaj mein bu-zar ka iztirab nahin jo reg-zar ko zarkhez-o-zarfishan kare tere wajud ke sahra pe wo sahab nahin