hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko baratna chahti hai dasht-e-majnun ke hawalon ko na aaya kuchh magar hum kushtagan-e-shauq ko aaya hawa ki zad mein aakhir be-sipar rakhna khayalon ko khuda rakkhe tujhe ai naqsh-e-diwar-e-sanam-khana kahenge log diwar-e-abad teri misalon ko andheri raat mein ek dasht-e-wahshat zindagi nikli chala jata hun daman-e-nazar deta ujalon ko bujha jata hai dil sa ek lal-e-shab charagh aakhir kahan le jaun us ke sath ke sahib-jamalon ko khadi hai taj pahne shahr mein khar-e-mughilan ka jawab-e-taza dene zindagi kohna sawalon ko khayaban khandaqon mein khul gae wo mauj-e-khun guzri hawa-e-zakhma-war ne saz samjha hai nihaalon ko nikalne hi na pae halqa-e-dasht-e-tamanna se mili thi gardish-e-parkar aisi kuchh ghazalon ko subu mein maujzan aab-e-zamir-e-mai-gusaran hai tulu-e-subh tak raushan rakkhenge hum piyalon ko kabud o surkh mein thi nek o bad mein dagh o darman mein hawa sayyah thi dekh aai sab gham ke shiwalon ko taghayyur ki zamin par aadmi ka tez-rau partaw gaya hai surat-e-mishal liye aainda salon ko