hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh darida chadar-e-jaan hai magar sambhaal ke rakh phir us ke baad to qadren inhin pe utthengi kuchh aur roz ye diwar-o-dar sambhaal ke rakh abhi udan ke sau imtihan baqi hain in aandhiyon mein zara baal-o-par sambhaal ke rakh ye ahd kanp raha hai zamin ke andar tak tu apna hath bhi diwar par sambhaal ke rakh padhenge log inhin mein kahaniyan teri kuchh aur roz ye daman-e-tar sambhaal ke rakh hawa ke ek hi jhonke ki der hai 'qaisar' kisi bhi taq pe sham-e-sahar sambhaal ke rakh