sahra mein jo mila tha mujhe itna yaad hai mera hi naqsh-e-pa tha mujhe itna yaad hai itna lahu lahu to nahin tha badan mera han zakhm ek hara tha mujhe itna yaad hai phir kya hua kabhi meri barbaadiyon se puchh teri taraf chala tha mujhe itna yaad hai wo bhid mein khada hai jo patthar liye hue kal tak mera khuda tha mujhe itna yaad hai ek shahr jis ne kal meri aawaz chhin li wo shahr-e-be-nawa tha mujhe itna yaad hai main jaise muddaton se isi rahguzar mein hun pal bhar ka fasla tha mujhe itna yaad hai jaane phir us ke baad mujhe us ne kya kaha hafiz khuda kaha tha mujhe itna yaad hai chehra kisi ka ab bhi tasawwur mein hai 'nafas' ek ajnabi mila tha mujhe itna yaad hai