hawa chale waraq-e-arzu palat jae tulua ho koi chehra to dhund chhat jae yahi hai waqt ki khwabon ke baadban kholo kahin na phir se nadi aansuon ki ghat jae bulandiyon ki hawas hi zamin par lai kaho falak se ki ab raste se hat jae giraft dhili karo waqt ko guzarne do ki dor phir na kahin saaton ki kat jae isi liye nahin sote hain hum ki duniya mein shab-e-firaq ki saughat sab mein bat jae