un ke jalwon pe hama-waqt nazar hoti hai kucha-e-yar mein yun apni basar hoti hai jaane kya chiz mohabbat ki nazar hoti hai wo jidhar hote hain duniya hi udhar hoti hai hosh wale meri wahshat ko bhala kya samjhen un ke diwanon ko aalam ki khabar hoti hai ishq mein chand-sitaron ki haqiqat kya ho jalwa-e-yar pe qurban sahar hoti hai aap ki yaad se hota hai mera dil raushan aap ko dekh ke bedar nazar hoti hai meri un ko na khabar ho ye koi baat nahin un ko to sare zamane ki khabar hoti hai jazba-e-ishq mein jannat ki tamanna kaisi ye bulandi to meri gard-e-safar hoti hai hech hoti hai nigahon mein mata-e-kaunain mere dilbar ki nazar jab bhi idhar hoti hai mere daman mein sama jate hain donon aalam mere jaanan ki nazar jab bhi idhar hoti hai aur kya hogi mere ishq ki mearaj 'fana' zindagi yar ke qadmon mein basar hoti hai