hawa-e-tez tera ek kaam aakhiri hai ki nakhl-e-khushk pe mah-e-tamam aakhiri hai main jis sukun se baitha hun is kinare par sukun se lagta hai mera qayam aakhiri hai phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna kharid lijiye sahib ghulam aakhiri hai guzar chala hun kisi ko yaqin dilata hua ki lauh-e-dil pe raqam hai jo nam aakhiri hai tabhi to ped ki aankhon mein chand bhar aaya kisi ne kah diya hoga ki sham aakhiri hai ye lag raha hai mohabbat ke pahle zine par ki jis maqam pe hun ye maqam aakhiri hai kisi ne phir se khade kar diye dar-o-diwar khayal tha ki mera inhidam aakhiri hai hamare jaise wahan kis shumar mein honge ki jis qatar mein majnun ka nam aakhiri hai shuru-e-ishq mein aisi udasiyan 'tabish' har ek sham ye lagta hai sham aakhiri hai