munkir-e-but hai ye jahil to nahin ghar se waiz kahin fazil to nahin tum na aasan ko aasan samho warna mushkil meri mushkil to nahin kya sambhaale mere dil ka langar zulf hai kuchh wo salasil to nahin aaj main dil ko juda karta hun dekhiye aap ke qabil to nahin zalzale mein jo zamin aati hai ye bhi us shokh pe bismil to nahin dard ko gurda tadapne ko jigar hijr mein sab hain magar dil to nahin haddiyan khane ko khata hai huma sag-e-jaanan ke muqabil to nahin bola wo gul jo suni aah 'sakhi' aisi aawaz-e-anadil to nahin