wo ek shakhs mere pas jo raha bhi nahin wo khud ko dur kabhi mujh se kar saka bhi nahin nigah jis ki meri samt aaj tak na uthi mere siwa wo kisi shai ko dekhta bhi nahin mere khutut to jhalla ke phad deta hai ajib baat hai purzon ko phenkta bhi nahin tamam waqt hai wo mahw-e-guftugu mujh se ye kan jis ki sadaon se aashna bhi nahin hamare sine mein chhup jae dar ke duniya se wo jis ke lams ne ab tak hamein chhua bhi nahin jidhar bhi dekhun wahi wo dikhai deta hai maze ki baat to ye hai ki wo khuda bhi nahin