ho gaya sab khak muztar rah-e-parwana rahi bazm mein raushan sahar tak jaan-e-jaanana rahi haisiyat kya aur haqiqat kya bhala is khak ki us ke har naqsh-e-qadam par phir bhi nazrana rahi pyas ka zarf aise khul jaega kab malum tha tishnagi jam-o-subu tak pir-e-mai-khana rahi ki takhayyul ne mere paikar-tarashi is qadar dil sanam-khana raha aankh aaina-khana rahi kam na thi mina-e-hasti mein mai-e-jalwa magar tishna-kaami hi hayat-e-nau ka paimana rahi roz-e-awwal se abad tak aap yaksan rah gai rind thi apni tabiat yun hi rindana rahi tum haqiqat puchhte ho ishq 'kausar' ki suno dasht-o-sahra ki kahani apna afsana rahi