hawa ka talkh lahja hai charaghon ki pareshani chamakte chand suraj hain sitaron ki pareshani kinaron mein bhi shayad dub jaane ki talab hogi pata kaise karenge hum kinaron ki pareshani mere pyare hamari zindagi mein aur bahut gham hain mohabbat hijr ye to hain hazaron ki pareshani ye sahra bhi to shayad dhup hi se tilmilata hai samundar dur kar in regzaron ki pareshani na jaane kaise kaise naqsh-e-pa ko sar pe lete hain ye koi kam nahin hai yar patton ki pareshani wahi bachche ki jis ko bolna chalna sikhaya tha wahi bachche hi kyun hain aaj maon ki pareshani darakhton ko bhi shayad hijraton ke rang chakhne hain tahalti daliyan kahti hain pedon ki pareshani hawaen chal rahi hain un ko rukna ho kahin shayad pata karte chalo kya hai hawaon ki pareshani