qalb-e-viran se rangin ghazal mange hai kaisi duniya hai jo sahra se kanwal mange hai zindagi ab to har ek lamha khuda jaane kyun mujh se pechida sawalat ke hal mange hai ye nai tarz-e-siyasat ye zabun-haali ab hum se mathe pe kuchh afkar ke bal mange hai jab se aawara-mizaji ko qarar aaya hai teri aaghosh mein guzre hue pal mange hai daur-e-hazir mein gharaunda bhi banana mushkil aur mumtaz meri taj-mahal mange hai is junun ne mujhe is darja sharaf bakhsha hai but-gari mujh se ajanta ka amal mange hai jazba-e-ishq dilon se hai nadarat 'tashna' aashiqi aaj ki bas rah saral mange hai