hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi

hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi
bhadak utthengi jo bhi rakh mein chingariyan hongi

dar-o-diwar ko hi ghar nahin kahte hain kya jaun
lachakti shakh-e-gul hogi na hansti kyariyan hongi

mere aangan mein barg-e-khushk dalanon mein sannate
kushada kamron mein dimak-zada almariyan hongi

idhar sach bolne ghar se koi diwana niklega
udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyariyan hongi

hum ahl-e-dil ke jo kuchh dil mein hai lab par wahi baaten
wo ahl-e-hosh hain un ke yahan ayyariyan hongi

hamara kya chale jaenge hanste shahr se tere
hamare baad diwaron pe khun ki dhaariyan hongi

saron se pur hain gaddhe khun ka chhidkaw hai har-su
wo aaen be-khatar rahon mein ab hamwariyan hongi

main shahr aaya bade hi shauq se lekin khabar kya thi
yahan aankhen bichhae rah mein be-kariyan hongi

wo uttha karwan-e-subh ki aamad ka shor 'anjum'
sharik-e-bazm-e-shab mein kuch ki tayyariyan hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close