hawa ke lams se bhaDka bhi hun main

hawa ke lams se bhadka bhi hun main
sharara hi nahin shola bhi hun main

wo jin ki aankh ka tara bhi hun main
un hi ke panw ka chhaala bhi hun main

akahra hai mera pairahan-e-zat
bura hun ya bhala jaisa bhi hun main

hawa ne chhin li hai meri khushbu
misal-e-gul agar mahka bhi hun main

mere raste mein hail hai jo diwar
usi ke sae mein baitha bhi hun main

taras jata hun jis ke dekhne ko
usi ek shakhs se bachta bhi hun main

main jin logon ki surat se hun be-zar
unhi mein raat din rahta bhi hun main

jo meri khush-libasi ke hain qael
un hi ke samne nanga bhi hun main

sarasar jhut hai jo baat meri
usi ek baat mein sachcha bhi hun main

agarche fitratan kam-go hun phir bhi
jo sach puchho to kuchh banta bhi hun main

bahut is shahr mein ruswa hun 'rashid'
magar kya waqai aisa bhi hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close