mohabbat dukhon ki ek dawa hai wagarna zindagi harf-e-dua hai andhere ka tanasub badh na jae koi suraj zamin pe aa gira hai hamara haal hai azhar-minashshams jo sab ka haal hai kis se chhupa hai dar-e-kaba pe bhi pahre bithao buton ki wapsi ka marhala hai shikasta-pa safar ki samt kho kar musafir rah mein tanha khada hai dar aae jis ka ji chahe dar aae sada se dil ka darwaza khula hai musalsal aabju mein rahte rahte kanwal ka phul kuchh ukta gaya hai jahan sadiyon se hai pyason ka mela 'shamim' is bazm ka shohra bada hai