zindagi ke aakhiri lamhe khushi se bhar gaya ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya bujh gaya ehsas tari hai sukut-e-be-hisi dard ka daftar gaya saman-e-shor-o-shar gaya shakhs-e-mamuli mera jo mal-e-wafir chhod kar marte marte tohmaten chand apne zimme dhar gaya is qadar sanjida tha wo dafatan budha hua aur phir ek dopahar biwi ko bewa kar gaya durdarshan par tarab aagin tamasha dekh kar khush hua wo is qadar mare khushi ke mar gaya dar haqiqat maut ka matlab to hai naql-e-makan jis tarah kamre ke andar se koi bahar gaya kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log maut se darte hain main to zindagi se dar gaya