is darja meri zat se us ko hasad hua jo bhi sawal main ne kiya mustarad hua us ne hi di saza mujhe sahra ki dhup mein mere badan ki chhanw se jo na-balad hua aisi chali hawa ki har ek shakh jal gai wo ped jo hara tha ghamon ki sanad hua sochen hain khwab-khwab to tahrir aab-ab hum kya kahen ki kaun yahan nek-o-bad hua us ki hi aarzu mein ye chehre udas hain wo aaina ki jis ka taqaza ashad hua jis ne sadaqaton ko lahu se kiya raqam us shakhs ka har ek sukhan mustanad hua mera sitara us ke sitare se yun mila mera aur us ka nam 'hasan' ham-adad hua