hawa ke rukh pe rah-e-e'tibar mein rakkha bas ek charagh ku-e-intizar mein rakkha ajab tilism-e-taghaful tha jis ne der talak meri ana ko bhi kunj-e-khumar mein rakkha uda diye khas-o-khashak-e-arzu sar-e-rah bas ek dil ko tere ikhtiyar mein rakkha na jaane kaun ghadi thi ki apne hathon se utha ke shisha-e-jaan is ghubar mein rakkha ye kis ne misl-e-mah-o-mahr apni apni jagah visal o hijr ko un ke madar mein rakkha lahu mein dolti tanhai ki tarah 'khawar' tera khayal dil-e-be-qarar mein rakkha