tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan main ne id karne ki than li hai ghamon ke ek ek pal se khushiyan kashid karne ki than li hai main us ki baaton ka zahr apni khamoshiyon mein utar lunga agar muzir hai to main ne us ko mufid karne ki than li hai talash ki shiddaton ne arz-o-sama ki sab duriyan mita din so main ne ab teri justuju ko shadid karne ki than li hai machine bona hai jin ka pesha unhen zamin bech di hai tum ne kisan ho kar khud apni mitti palid karne ki than li hai ye meri tahzib ka asasa hi meri pahchan ban sakega tamam kohna riwayaton ko jadid karne ki than li hai siyah shab ka ghanim shayad ki aa gaya raushni ki zad mein sabhi charaghon ko jis ne 'azim' shahid karne ki than li hai