kufe ke qarib ho gaya hai lahore ajib ho gaya hai har dost hai mere khun ka pyasa har dost raqib ho gaya hai har aankh ki zulmaton se yari har zehn muhib ho gaya hai kya hansta hansata shahr yaro hasid ka nasib ho gaya hai phaila tha masih-e-waqt ban kar simta to salib ho gaya hai kaghaz pe ugal raha hai nafrat kam-zarf adib ho gaya hai is shahr ke dil nahin hai 'zulfi' ye shahr gharib ho gaya hai