hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale main dubta hua dariya ke par utar bhi gaya ab ehtiyat ki diwar kya uthate ho jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya sulagte sochte viran mausamon ki tarah kada tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya phati phati hui aankhon se yun na dekh mujhe tujhe talash hai jis shakhs ki wo mar bhi gaya magar falak ko adawat usi ke ghar se thi jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya