hum ne pai lazzat-e-didar lekin dur se un ki surat dekh li sau bar lekin dur se wo dikhate hain hamein rukhsar lekin dur se is ka matlab hai ki kar lo pyar lekin dur se us ne jaancha mera dard-e-dil magar aaya na pas us ne dekha mera haal-e-zar lekin dur se rauzan-e-diwar se hasrat bhari aankhen ladin ho gain un se nigahen chaar lekin dur se us ne aane ka kiya hai qaul lekin ta-ba-dar us ne milne ka kiya iqrar lekin dur se pas 'muztar' kis tarah jate hujum-e-yas mein ho gaya un ka hamein didar lekin dur se