hawa ki chadar-e-sad-chaak odhe ja rahe hain sawaro kis taraf munh-zor ghode ja rahe hain hamein bhi yaad kar lena jab un par phul aaen hum apna khun paudon par nichode ja rahe hain samar to kya shajar par koi patta bhi nahin hai magar hum hain ki shakhon ko jhinjhode ja rahe hain ye kis subh-e-haqiqat mein khuli hai aankh meri ki tere khwab bhi ab sath chhode ja rahe hain main kis dukh se akele dekhta jata hun un ko faza mein panchhiyon ke chand jode ja rahe hain wo jis ki amn ki buniyaad par tamir ki thi 'amir' us shahr-e-jaan mein zulm tode ja rahe hain