kadi hai dhup kare kis tarah safar koi nahin hai rah mein ab dur tak shajar koi main apne shahr mein phirta hun ajnabi ki tarah ajab nigah se takta hai mujh ko har koi tamam-umr main khud apne aap mein gum tha talash karta raha mujh ko umr-bhar koi main ek rahguzar ki talash mein hun magar talash karti hai mujh ko bhi rahguzar koi main barguzida buzurgon ki ek nishani hun mujhe bhi dekh le ji-bhar ke ek nazar koi hamari basti mein kahne ko log baste hain makan chaaron taraf hain nahin hai ghar koi