koi bahaar ki khatir koi khizan ke liye bas ek main hi raha sirf gulsitan ke liye ilahi mujh se nazar chhin le ki ahl-e-nazar tamam-umr tadapte hain raaz-dan ke liye masarraten jo milin tere lutf-e-paiham se machal rahi hain kisi jaur-e-na-gahan ke liye mujhe hain khar se kuchh khas nisbaten ki ye gul bahaar mein na khila raunaq-e-khizan ke liye hamein un ahl-e-sukhan mein na kar shumar ki ye fughan bhi karte hain khush-waqti-e-fughan ke liye karen na zikr tumhaara to kya karen ki hamein kuchh aur mil na saka apni dastan ke liye hamare des mein iran-o-najd se ustad bulae jate hain talim-e-ashiqan ke liye hamare shahr mein fan ke ijara-daron ne kuchal rakha hai dilon ko faqat zaban ke liye hum apne des aur apne hi shahr mein 'ali' gada-gadi pe hain majbur soz-e-jaan ke liye