nahin milte shuur aansu bahate

nahin milte 'shuur' aansu bahate
nazar aate hain hanste-muskuraate

wo ghanton baithte hain doston mein
magar dekha akele aate jate

nikal jate hain na-malum jaanib
wo gird-o-pesh se nazren bachate

jise kahte hain log ummul-khabais
rahe un ke usi se rishte-nate

wo kya jinnat se karte hain baaten
unhen paya gaya hai budbudate

utha pae na apna bojh bhi wo
bhala kya dusron ke kaam aate

ayan tha be-khudi se haal un ka
koi kya puchhta wo kya batate

bata lete hain mausam har tarah ka
anadil bostan mein rote gate

'shuur' aap aae hain milne sar-e-sham
hamare pas hoti to pilate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close