jab se aankhon mein tere rang bhare hain darwesh hum ko sukhe hue jangal bhi hare hain darwesh aap ko chashm-e-tasawwur bhi nahin chhu sakti aap zehnon ke darichon se pare hain darwesh teri rukhsat ka taghaful to bahut ba'd ki baat teri aamad se hi hum be-khabare hain darwesh zabt par log qaside pe qasida-go hain aur aansu hain ki palkon pe dhare hain darwesh is liye aur bhi maghrur-e-zamana hum hain jitne kashkol mein sikke hain khare hain darwesh ek teri rah-e-rifaqat se zara panw hate khush-nasiban-e-safar dar-badare hain darwesh dekh hathon mein larazti hui talwaren dekh ye sipahi teri aahat se dare hain darwesh ek zara khair hi puchhi thi safar ki main ne aap to lagta hai baithe hi bhare hain darwesh