hawa ne baadal se kya kaha hai ki shahr jangal bana hua hai jahan meri kashtiyan nahin thin wahan bhi sailab aa gaya hai umid aur khauf nachte hain wo nach-ghar hai makan kya hai sab us ki baaten ghisi-piti hain magar wo paikar naya naya hai wo ja chuka hai par us ka chehra usi tarah mez par saja hai sajili almariyon ke pichhe nokile shishon ka silsila hai jo sae ki samt ja rahe hain wo main hun aur ek azhdaha hai kalaf ke collar pahanne wala ek aadmi qatl ho raha hai mera badan jis ko chahta tha kisi ne wo zahr pi liya hai