hawa se dur agar raha karti

hawa se dur agar raha karti
gard itni nahin uda karti

us ka koi khuda nahin hota
ana sajda nahin kiya karti

ek tamasha dikhana padta hai
tali yunhi nahin baja karti

thama deti hai hath mein pyala
pyas pani nahin piya karti

karne aate hain sare kaam mujhe
mujhe fursat nahin mila karti

hawa ko hote hain zaruri kaam
raste mein nahin ruka karti

din jo nikla to bujh gae tare
raushni raushni ka kya karti

ghar ko jannat banana padta hai
ghar mein jannat nahin mila karti

din hi kuchh der se nikalta hai
raat lambi nahin hua karti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close