jis ko dekho wahi paikar mein uljha hua hai har gareban kisi tar mein uljha hua hai dasht bechain hai wahshat ki pazirai ko dil-e-wahshi dar-o-diwar mein uljha hua hai jang dastak liye aa pahunchi hai darwaze tak shahzada lab-o-rukhsar mein uljha hua hai ek hikayat lab-e-izhaar pe hai sokhta-jaan ek qissa abhi kirdar mein uljha hua hai sar ki qimat mujhe malum nahin hai lekin aasman tak meri dastar mein uljha hua hai aaiye bich ki diwar gira dete hain kab se ek masala be-kar mein uljha hua hai