hawaon ke muqabil hun charaghon ki wo mahfil hun khuda jaane kahan hun main na bahar hun na shamil hun mere kandhe pe wo bikhre hain mauj ek wo main sahil hun ye chadar silwaten takiya batate hain main ghafil hun main jo chahun wo pa lun par abhi khud hi se ghafil hun yahan sach be-sahaara hai sahaara dun main baatil hun umiden tum se rakhti hun kaho to kitni jahil hun jua hai zindagi jaise jo jite us ko hasil hun rahe zad mein junun jis ke usi ko phir main hasil hun