us ne kiya hijab mere dekhne ke baad us ko mila sawab mere dekhne ke baad surat pe chaar-chand lage the janab ki ye bhi tha inqalab mere dekhne ke baad meri nazar se daliyan chhu kar hari huin khilne lage gulab mere dekhne ke baad itna main sher-fahm nahin hun magar yahan chhapte hain intikhab mere dekhne ke baad khulta hi ja raha hai kisi rukh ke ru-ba-ru sharm-o-haya ka bab mere dekhne ke baad pahle nazar utha ke mujhe dekhte bhi the lekin ye ijtinab mere dekhne ke baad meri nazar mein dosto shiddat bala ki thi tuta pada tha khwab mere dekhne ke baad